Thursday, February 09, 2006

Panchi

Apne jeevan ki is udaan mein
Main kai shehron, kai janglon se gujra hun

Par aisa kyun lag raha hai ki
Aaj mere pankh kuch bhari se ho gaye hain

Koshish to bahut kar raha hun
Par zameen se uth nahin paa raha hun

Jaise ki zameen pe gond lagakar
Chipka diya ho kiseene.

Par jab aasman ki oar dekhta tun
To aisa lagta hai ki
Amber ka yeh tukda mera to nahin hai.

Aakash ka woh hissa zoh
Kabhi mera kahlaaya jaata tha
Kahin kho gaya hai.

Mujhe intezaar karna hoga,
Mere aakash, mere hisse ka.

Zab who mere sir ke upar aa zayega,
Tab zameen se har bandhan todkar
Main apne par ko aazaad kar
Ud zaaonga.

1 Comments:

Blogger charuta said...

this one potrays some one who has seen the balcks & whites of life....& is all set to free himself from the tyranny!
excellent composition!

8:19 PM  

Post a Comment

<< Home