Saturday, April 08, 2006

Uljhan

Kyun? Kyun har baar
wahi kashmakash
wahi sawaal
wahi rishton ki guthi
wahi bhavnaon ka bhanvar

Har baar isi bhanvar
mein fanskar, girkar
samunder ki kaali teh
ko chookar aati hun main.

Ajeeb sa majaa
Ajeeb si raushni
hai is uljhan mein.
Jahan ek taraf aankhon ko andha kar deti hai,
wahin doosri taraf apni aur kheenchti hai

Kya sahi hai kya galat
Kya acha hai kya bura
Iska faisla kaun karega?

Kirdaar badalte hain
Jaghen badalti hain
Par kahaani wahi rehti hai
Mudda wahi rehta hai – Pyaar.

Kaun had tay karega is pyaar ki?
Main to nahin kar sakti
Tum hi kar lo.

Thamo is haath ko
Le chalo us kinaare
Jahan rishton ke daayre samajh mein aa jaayen
Jahan sab kuch saaf saaf dikhae de
Jahan dil aur dimaag mein dosti ho jaaye

3 Comments:

Anonymous Anonymous said...

nice choice of words.
very personal sentiments but the flavor is definitely there. keep trying.

8:33 AM  
Anonymous Anonymous said...

Future will ask present about my past...
Present will reply didn't catch it ,went so fast....
I do wish in this rat race i'm not the last....
Life is a stage my love, everyone plays its cast.

9:21 PM  
Blogger charuta said...

my fav:
Kirdaar badalte hain
Jaghen badalti hain
Par kahaani wahi rehti hai
Mudda wahi rehta hai – Pyaar.

8:57 AM  

Post a Comment

<< Home