Ek din, ek pal, ek lamha…
Tumhe apna banane ka mera sapna
Yeh kaisa sapna hai
Jo sadiyon se dekh rahi hun main
Sab jaag gaye
Akeli so rahi hun main
Kabhi jo aankh khuli
Aur woh mujhse rooth gaya to?
Sabse kya kahungi
Gar woh mujhse jhooth gaya to?
Kahungi, han ek sapna tha, mera apna tha
Phir ek din sachai ka saamna hua
Aur mera khwab mujhse juda ho gaya
Isiliye main ankhen kholti nahin
Is meethi need se main jaagti nahin
Palkon ke peeche
Har pal sanjoti hun main
Woh din, woh pal, woh lamha
Unhe apna banane ka mera sapna…
3 Comments:
requires a lot of fine tuning. nice thought.
mere hisaab se tumhara thought complete nahi hua hain ..kaafi kuch missing lag raha hain...tumhari disha sahi hai par ubhar kar nahi aa rahi hain
needs rework ..needs to be given a proper shape .. it should flow smoothly, just like the 'lamha' you are writing about ..
Post a Comment
<< Home