Friday, October 20, 2006

Woh lamha abhi gujra nahin…

Chandni raat mein…
Shoro-o-gum se door
Woh lamha jo tumne diya tha humein…
Woh lamha kabhi beeta nahin

Behte ashqon ki dhaar ne,
Sehme ikraar ko roka nahin.
Tez dhadkano ki aawaaz ne,
Behke kadmon ko toka nahin.

Lau si jalti woh lambi raat…
Subah se jaise chup gayi thi kahin
Shayad usi lamhe mein…
Yeh zindagi bhi ruk gayi thi kahin

Andheri raat mein jo inteha dekhi humne
Phir in nazron ne kuch dekha nahin
Us raat jo ankhen moondi humne,
Yeh neend kabhi tooti hi nahin.

Ab bhi usi lau ko jalaye baithe hain
Zaalim raushni humein bhayi nahin
Barson gujre us raat ko lekin
Woh lamha abhi gujra nahin