Friday, July 11, 2014

Yaadein dhundlaane lagi hain...


Lamha lamha jodkar banayi thi...
tune maine kitni yaadein banayi thi...

Ansoon.. muskurahatein...
Sharaartein... galtiyan... ladaayiyan...
aadhi aadhi raaton ki kitni kahaniyan....
bachpana... roothna... manaana....
na kehne par bhi bina dastak baar baar aana....

har kisse pe pyaar ki mohar lagayi thi...
kitne pyaar se sajayi thi...
humne kitni yaadein banayi thi...

Par ab boond boond pighalne lagi hain...
Teri meri yaadein... dhundlaane lagi hain...