Monday, May 22, 2006

Tum

A very consciously written halka-fulka poem.... :)

Tum acha kehta ho
To bahut acha lagta hai
Tum bura kehte ho
To dil hi toot jaataa hai

Tum paas aate ho
To har sapna sach hone lagta hai
Tum door jaate ho
To khud se hi saath choot jaata hai

Tum muskurate ho to
Saara aalam khilkhilata hai
Tum rooth jaate ho
To khushiyon se naata hi toot jaata hai

Tumhi se main hoon
Yeh shayad tumne kabhi jaana hi nahin
Dekho, suno.. samjho
Kyun har saans mein tumhara naam sunaai deta hai

Monday, May 15, 2006

Tumse Milnaa ek bahana thaa - Aditya

A poem by my friend Aditya...

Tumse milnaa ek bahana thaa,
Is dil ko dhadkanaa sikhana thaa
Na tumne ikraar kiya, Na humse izhaar hi hua,
Reth ke panno par, Ye afsana humara thaa.

Tumhari nazron mein koi aur samaya
Humne bhi aashiyan kahi jaa basaya
Manzilein milna to door ki baat thi,
Alag sab se, raasta humara thaa.

Ankahi baatein….

Hothon tak jo aa na saki
Labon par jo tham si gayi
Lafzon mein jo dhal na saki
Hai aisi kai baatein… ankahi

Yeh kaisi bandish hai jo tootti nahin
Yeh kaise dayre hain jo chootte nahin
Do kadam chalte hain, phir ruk jaate hain…
Yeh kaisi doori hai jo mitti hi nahin

Lafz khamosh ho jaate hain
Ehsaas tumhara jaata nahin
Toot kar bikhar jaate hain
Par ishq yeh kam hota nahin!

Laakh koshish kar li humne
Par dil ki baat dil mein rahi
Kehti rahi nazren…
Yeh meri kahaani... ankahi…

Wednesday, May 10, 2006

Kuch naya suna…

Ek hi dhoond hai chayi tujh par
Ab to is parde ko hata.
Do rango ko mila kar
Ek naya rang bana,
Ae zindagi,
Kuch naya suna

Wahi kahaani, wahi kisse
Har pehar bas wahi rishte…
Likh ek naya naam us kaagaz par
Ab to ek nayi kahani bun
Khud se ab tu rishta bana..
Ae zindagi,
Kuch naya suna…

Dekh sitaron ke beech se
Aayi hai ek aawaaz...
Sun, gamo ke beech
chida hai ek naya saaz…
Khushiyon ki oar
Ab tu bhi kadam bada
Ae zindagi,
Kuch naya suna…

Saturday, May 06, 2006

Jogan...

Khud se anjaan
Duniya se bekhabar
Na koi manzil
Na koi humsafar…
Bas akeli chali jaa rahi thi…
Woh jogan teri, jeeye jaa rahi thi…

Poocha naam kya hai?
To tumhara naam bata diya….
Poocha ghar ka pata kya hai?
To tumhara thikana suna diya…
Poocha kiska intzaar hai
To tumhara khat dikha diya…

Banwri si lag rahi thi…
Ishq ishq chilla rahi thi…
Maano pyaar hi uski bhasha hai
Mohabbat hi uska majhab…

Kisine kaha diwaani hai..
Kisine kaha pagal hai…
Ishq mein doobi woh ladki
Maine kaha ek jogan hai….

Kabhi us gali bhi gujar jaana…
Us jogan se bhi mil aana……
Koi pooche kis ghar jaana hai…
To apna hi naam bata dena…

Wednesday, May 03, 2006

Bati bati si zindagi…

Ek adhoori kahaani
Likh rahi hun main...
Bati bati si zindagi
Jee rahi hun main...

Bin kahe, wafa kar rahi hun main
Bin maange, pyaar de rahi hun main
Anjaani is raah par...
Akeli chal rahi hun main
Han, kuch bati bati si zindagi
Jee rahi hun main.

Andhere mein suraj ki lau
ko dhoond rahi hun main...
Raat ke mayuus chand se
Chup rahi hun main.
Thak chuki hun phir bhi…
Yeh bati bati si zindagi
Jee rahi hun main.