Thursday, September 15, 2011

Facebook musings... (3)

Kuch gol gol... poore chand se...


kuch nukeele... chubhti dhoop se...

kuch dabe dabe... chupi muskaan se...

kuch besharm.... bebaak... bindaas se...

Kuch saaf... sunder... raushan se...

... kuch maile... nalayak... aawara se...

kuch udaas... gumsum, gamgeen se...

kuch hanste muskuraate... rangeen se...

Hai ek tu.. tere khayal kitne...

Meri syahi se behte rango jitne...

Tuesday, September 06, 2011

Facebook musings... (2)

Tu han keh de to sanwar jaon main... na keh de to bikhar jaon main... sanwarne ki umeed jaroor hai... par bikharne ka bhi dar nahin... dono manjoor hain... dono kabool hain... bas ek teri chuppi hai.. jo jaan par ban aati hai!!


Facebook musings... (1)

Tum the to bheed rehti thi... khayalo ki.... umeedon ki... chahton ki... ranjishon ki... tanhaiyon ko... Tum nahin ho to... gajab sannata hai!!

Monday, September 05, 2011

ek lau jal rahi hai kahin...

ek lau jal rahi hain kahin... jise main dekhe jaa rahi hun. Na woh bujhti hai, na meri palken jhapakti hain. Har jhonke se ladti hai, har boond ko nigalti hai. Akeli, chupchaap din raat ambar ko taakti rehti hai. Jaane woh mujhe jala rahi hain, yan khud mujhse raushan hai. Darr hai ki gar ek pal ke liye ankhen moond li, to bujh na jaaye woh kahin. Darr hai ki gar woh bujh gayi, to bujh na jaon main bhi kahin. Kaun kehta hai ki rishte nibhaana asaan hai. Sadiyon se ek lau jalti rahi... sadiyon se main soyi nahin...