Thursday, June 22, 2006

Dosti...

Ek toota dil
Ek adhoora rishta
Chal aaj in do hisson ko jodte hain…

Behta laal rakht
Kuch sukhe ashq…
Chal aaj in boondon ko milate hain…

Ankhen moondkar
Dard ke sumandar mein
Chal aaj behonsh hokar behte hain..

Sansein chootti hain
Yan zindagi milti hai
Chal aaj yeh bhi dekh lete hain..

Baith ajnabi aaj mere saath
Chal aaj hum apne apne
Gamon se dosti kar lete hain…

Monday, June 19, 2006

Boondein...

Pehli baarish ki kuch boondein
yaadon ke kagaz mein baandhkar
bhej rahi hun…
Naye mausam ka yeh tohfa
Apne sirhaane rakh lena
Isi bahane tanhai mein bitaaye
mere lamhe
jara tum bhi
jee lena…

Un boondon mein mile kuch ashq hain mere
Tumhari tasveer ko saamne rakhkar
Jo bahaye the maine…
Un boondon mein ek raat hai
Tumhare pyaar mein bheegh kar
jo kaati thi maine…

Paaani ki woh halki halki bauchare
Jab mere angan mein padi thi…
To har us boond mein
tumhara chehra dekha tha maine
Sama gaye the tum saare alam mein
Tumhari yaadon ki is baarish mein
Beinteha bheege the hum…

Inhi boondon se hi dosti kar li thi maine …
Us raat meri kahani sunkar woh bondein
bhi bahut royi thi mere saath…

Pehli baarish ki wahi kuch khaas boondein
bhej rahi hun…
us raat ki ki kahani unhi se pooch lena
Isi bahane tanhai mein bitaaye
mere lamhe
jara tum bhi
jee lena…

Tuesday, June 06, 2006

Yeh hai meri kahani…

Ek talash hai…
Gehre andhere mein
raushni ki ek lau ki…

Ek shart hai…
Moondi ankhon se dekhe
khwabon ke sach hone ki…

Ek shakti hai…
Dil mein jhaank kar
jazbon ko chun kar nikaalne ki…

Ek nazar hai…
Ankhon se chookar
palkon mein baandhkar rakhne ki…

Ek umr hai…
Pyaare, manchale, ziddi
rishton se mehki si…

Ek kahani hai
Unkahi, adhoori
Bezubaan si…

Ek zindagi hai…
Sukshm par mazboot…
Paani ke ek bulbule si….

Ek main hun…
Bhooli si…. Bhatki si…
Shayad ek sapne si…

Yahi hai meri kahani…