Yeh hai meri kahani…
Gehre andhere mein
raushni ki ek lau ki…
Ek shart hai…
Moondi ankhon se dekhe
khwabon ke sach hone ki…
Ek shakti hai…
Dil mein jhaank kar
jazbon ko chun kar nikaalne ki…
Ek nazar hai…
Ankhon se chookar
palkon mein baandhkar rakhne ki…
Ek umr hai…
Pyaare, manchale, ziddi
rishton se mehki si…
Ek kahani hai
Unkahi, adhoori
Bezubaan si…
Ek zindagi hai…
Sukshm par mazboot…
Paani ke ek bulbule si….
Ek main hun…
Bhooli si…. Bhatki si…
Shayad ek sapne si…
Yahi hai meri kahani…
5 Comments:
Sushshum per mazboot yeh kahani hain jo tumne dil ke zubanami likhi hain...har lamhe ko isme seecha hain...har waqt ko isme kheecha hain...bandh gaya tha mein in shabdon mein, itni gehri iski saasen hain.tumhare tanhayiee ka eejaaz hota hain,jaise kisi ka bachpan,jawani aur budhapa rota hai...
Dum to hain tumhare shabdon mein..
isko barquarar rakho..
tumhare kisi kitaab ke kisi panne mein ise aana hain.
Hai talash kisse nahin manzil ki...
Hai talash kisse nahin manzil ki...
Bas rah-e-humsafar ka intezar hai.
Manzil ke baad jashn ke liye...
Manzil ke baad jashn ke liye...
Kahani mein ek khali panna aur hai.
insightful prose :-)
Encore...
Is this your take on "Yeah hai meri kahani..."?
I am bad at remembering lyrics. And thanks for dropping in at my blog. :-)
Cheers
Dan
Nice One....
More like your style.
bahut der ho gayee... ek nayee kahani milegi?
Post a Comment
<< Home