Beete pal, thehri yaadein....
Jo aakar
Chala gaya ho
Jo bhi aaya
Maano ret mein apne
Kadmon ke nishan
Chhod gaya
Phir
ek kaatil leher aayi
aur sab kuch baha le gayi…
Us lehar ke saath
har pal, har lamha dhundla ho gaya.
Sab kuch beet gaya
nahin beete to tum.
Us geeli ret par
aaj bhi tumhare kadmon
ke nishan nazar aate hain….
Unglion se choo sakti hun main unhe
Unke talwon ki lakeere
padh sakti hun
Woh lakeere jo meri lakeeron
Se kabhi mil nahin payee
Kabhi kabhi sochti hun..
Jab sab kuch beh gaya
To tum kyun nahin?