Monday, April 24, 2006

Longing....

My deepest desire,
My faith, my fire…
That’s you.

I travelled far far away
But the love kept growing each day

I saw your face in myriad places…
In trees, in light, in empty spaces…

Tried as I could, couldn’t pull myself away
I realise now, this love is meant to stay.

Like a whirlwind it keeps churning…
Like a fire it keeps burning…

Hope someday, you and I can burn together…
Drown ourselves in this love forever…

Ek din, ek pal, ek lamha…

Ek din, ek pal, ek lamha…
Tumhe apna banane ka mera sapna

Yeh kaisa sapna hai
Jo sadiyon se dekh rahi hun main
Sab jaag gaye
Akeli so rahi hun main

Kabhi jo aankh khuli
Aur woh mujhse rooth gaya to?
Sabse kya kahungi
Gar woh mujhse jhooth gaya to?

Kahungi, han ek sapna tha, mera apna tha
Phir ek din sachai ka saamna hua
Aur mera khwab mujhse juda ho gaya

Isiliye main ankhen kholti nahin
Is meethi need se main jaagti nahin

Palkon ke peeche
Har pal sanjoti hun main
Woh din, woh pal, woh lamha
Unhe apna banane ka mera sapna…

Saturday, April 08, 2006

Uljhan

Kyun? Kyun har baar
wahi kashmakash
wahi sawaal
wahi rishton ki guthi
wahi bhavnaon ka bhanvar

Har baar isi bhanvar
mein fanskar, girkar
samunder ki kaali teh
ko chookar aati hun main.

Ajeeb sa majaa
Ajeeb si raushni
hai is uljhan mein.
Jahan ek taraf aankhon ko andha kar deti hai,
wahin doosri taraf apni aur kheenchti hai

Kya sahi hai kya galat
Kya acha hai kya bura
Iska faisla kaun karega?

Kirdaar badalte hain
Jaghen badalti hain
Par kahaani wahi rehti hai
Mudda wahi rehta hai – Pyaar.

Kaun had tay karega is pyaar ki?
Main to nahin kar sakti
Tum hi kar lo.

Thamo is haath ko
Le chalo us kinaare
Jahan rishton ke daayre samajh mein aa jaayen
Jahan sab kuch saaf saaf dikhae de
Jahan dil aur dimaag mein dosti ho jaaye